Home » Hanafi Fiqh » Askimam.org » Q no1: mera udhar ka karobar hai mujh pe zakat bunti hai. ( Do I have to give zakat on my loaning business? ) Q no1: (najeeb ullah) naam sahi hai ya (nazif ullah). ( Is najeebullah a good name? How about Nazif ulla?)

Q no1: mera udhar ka karobar hai mujh pe zakat bunti hai. ( Do I have to give zakat on my loaning business? ) Q no1: (najeeb ullah) naam sahi hai ya (nazif ullah). ( Is najeebullah a good name? How about Nazif ulla?)

Answered as per Hanafi Fiqh by Askimam.org

Q no1:   mera udhar ka karobar hai mujh pe zakat bunti hai. ( Do I have to give zakat on my loaning business? )
Q no1:   (najeeb ullah) naam sahi hai ya (nazif ullah). ( Is najeebullah a good name? How about Nazif ulla?)

Answer

In the name of Allāh, Most Gracious, Most Merciful


Assalāmu ῾alaykum wa Rahmatullāhi Wabarakātuh

 

Usoolan woh qarzah jiskay milnay ki umeed ho us qarza ya udhaar kay wusool honay par uski zakat dayna laazim hogi. Jitney saalo may bhi wusool ho, un guzishtah tamaam saalo ki zakat dayna hogi.

Agar aik dam wusool na ho to kam az kam 40 dirham(nisab ka paanchwa hissah)wusool honay par utni miqdar ki zakat lazim hay aur guzishtah tamaam saalon ki zakat ki adaigi laazim hogi. Har saal ki zakat ada karnay k baad baqyah raqam par zakat laazim hogi.

(Fatawa Shami, Vol.2, Pg.305, Saeed)

(Fatawa Mahmoodiyyah, Vol.9, Pg.403, Farooqiah)

Najeeb ka matlab “shareef ya shareef khandaan” hay, jabkeh Nadheef (نظيف)  ka matlab “paak saaf” hay. Nazeef (نزيف) ka matlab kamzor hay. Is lihaaz say “Najeebullah” aur “Nadheefullah”(نظيف الله) dono acchay naam hain.

And Allāh Ta῾āla Knows Best
Wassalāmu ῾alaykum 

 

Ml. Abdur Rahman Shareef,
Student Dārul Iftā

 

Checked and Approved by:

Mufti Ebrahim Desai
Dārul Iftā, Madrasah In῾āmiyyah

________________________________________________________________________
Visit us at:
http://www.al-inaam.com  [ Madrasah In῾āmiyyah ]  | http://www.askimam.org  [ Dārul Iftā – Madrasah In῾āmiyyah ] |http://groups.google.com/group/shariahcompliant  [Shari῾ah Compliant Business Campaign] |http://groups.yahoo.com/group/shifaa [As-Shifā` Islamic Forum] | http://groups.yahoo.com/group/ulama_sa [Ulamā-SA Islamic Forum]

 

 

 

Original Source Link

This answer was collected from Askimam.org, which is operated under the supervision of Mufti Ebrahim Desai from South Africa.

Read answers with similar topics: