ASSALAM O ALAIKUM, main aap hazraat is umeed se yeh sawal kar raha hoon ki aap mujhe sahi rah batayenge aur ISHA-ALLAH aap mere yaqeen to qayam rakhenge. SAWAL YE HAI KI, main apni ek muslim friend ko bahut chahta hoon aur woh bhi mujhe bahut chahti hai lekin hum dono ki cast alag hai jiski wajah se mujhe nahi lagta hai ki hum dono ki marriage ho payegi jabki hum dono ek doosre se marriage karna chahte hai. uski ammi bahut conservative hai jabki mere ghar mein koi problem nahi hai. jab maine apne ek muslim dost ko apni pareshani batai to unhone mujhe dua-tabeez ki help lene ko kaha ki INSHA-ALLAH ise problem solve ho jayegi aur uske ghar wale maan jayenge. jab maine yeh kaha ki yeh galat hai to unhone kaha ki yeh galat nahi hai kyunki isse hum kisi ka bura nahi chah rahe hai. Ab main is confussion mein hoon ki main kya karoon. plz aap mujhe sahi raak dikhayen. NABI KAREEM (PBUH) ka irshad hai jiska makhfoom khulaasa hai “amal ka daromadar niyat par hai” aur meri niyat sahi bhi hai main usse marriage karna chahta hoon aur islam mein cast-system ki bhi koi jagah nahi hai, to kya yeh dua-tabee ka tareeqa sahi hai. kyunki hum dono ek doosre ko bahut chahte hai lekin ghar walo ki izazat ke baghair marriage bhi nahi karna chahte. Aur agar yeh galat hai to phir meri mushkilaat ka hal kya hai plz mujhe answer isi language(english urdu) mein bheje.
Answer
(Fatwa: 843/721=B/1429)
Loving a strange girl and keeping relationship with her is Islamically very sinful act. If both of you are not match (Kufu) then you should seek permission from guardian of the girl i.e. father, to get married out of Kufu. If he willingly allows the marriage, you can marry her. There is no need for Dua and amulet.
Allah (Subhana Wa Ta’ala) knows Best
Darul Ifta,
Darul Uloom Deoband