Home » Hanafi Fiqh » Mahmoodiyah » Question on Inheritance (Urdu)

Question on Inheritance (Urdu)

Answered as per Hanafi Fiqh by Mahmoodiyah

Question:

Assalamualaikum,
hamarey walid saheb 1994 mey wafaat paa chukey hain , in key warson mey hum
6 behen our 4 bhai our hamari walida sahiba hayat hain, hamarey walid ney
turkey mey 2 dookan aik makaan chand plots our shers waghaira chora hai,
hamarey walid ney 1990 mey wasiyat naamaa  likha tha jis key mutabik onkey
marney key baad aik dokaan , plots our shers sub warison mey
sharyat-e-mahammadi key hisaab sey takseem hogha, our makaan hamari walida
ko inho ney gift ker diya hai barey bhai ko inho ney 3 lakh cash gift ker
diya hai, our aik dokaan maa samaan our 2 lakh cash 3 bhaiyoon  ko 1986 mey
hi gift kiya hai, wazeh rahey keh is dokaan mey 3 bhaiyoon ney shroo sey
walid saheb key saath mehnat ki hai our ab tuk inho ney apney karobaar ko
bohot baraha diya hai,.
masaila yeh hai keh walid saheb ney jo dokaan bhaiyon key naam ki hai woh
pagri per hai our abhi tuk walid saheb key name hai, our makaan baich ker
baiyon ney rakum amanat key tor per apney paas rakhi hooi hai,
ab hum warison mey shaiyat-e-mohammadi key hisaab sey kaisey turka takseem
hogha, our kiya walid saheb ki wasiyat shaiyat-e-mohammadi key hisaab sey
sahi hai? our sub behenon ney bhaiyon ko dokaan bamaa samaan mey sey apna
apna hissa maaf ker diya hai , kiya yeh sahi hai.
shukriya


Answer:

 

                  

Aap ke waalid saheb ne apni zindighi mey maradhul wafaat se phehle jis ko jo raqm, saaman aur jaaidad maalik benaa kr de di aur us ne apne qabdhey mey le li to wo raqm, saaman aur jaaidad aap key waalid ka tarkh nahi hey agar cheh un mey se koi cheez aap key waalid key naam ho.

Aap key waalid ne jo makaan aap ki waalidah ko apni zindghi mey gift kiya ta agar aap key waalidah ne is per qabdhah kar liya ta to us makaan ki raqam aap ki waalidah ki milkiyat hey, tarkah nahi hey. Agar aap ki waalidah ne us makaan per qabdhah nahi kiya ta to us soorat mey us makaan ki raqam tarkah hey aur us mey sab waaritho ka hissah hey.

Agar aap key walid ne aap key bhaiyour aur walida key liye gift apnee zindighi mey nahi kiya taa bal khe wasiyyat naamah mey likha taa to pheer us wasiyyat per amal karna dharoori nahi hey, yeh sab cheezey aap key waalid ka tarkah hey. Agar tamaam wurathaa baligh hey to unhey ikhtiyaar hey keh ya to us wasiyyat key mutaabiq taqseem kardey ya meerath key qawaid key mutaabiq aapis mey taqseem karley.

Bhehnour ne dukaan mey se apnaa jo haq zubaani maaf kiya hey wo shar”an maaf nahi huwa bal keh us mey unkha hissah hey. Hissah bhai ko deyna chahiyeh to wo apnaa hissah bhai ko thorey se paisor mey farokht kardey.

Aap key waalid key waaldeyn ka intiqaal agar aap key waalid key zindighi mey ho chuka hey to pheer app key waalid ka tarkah wurathaa mey  is tarah taqseem hoga keh kul tarkah key 112 hissah musaawi kiye jaayeh, un mey se 14 hissah aap ki waalidah ko 7 hissah har bhen ko aur 14 hissah har bhai ko diye jayeh.   

And Allah Ta’ala knows best

Mufti Muhammad Ashraf

Darul Iftaa

Jameah Mahmoodiyah

Springs

10 December 2004

27 Shawwal 1425

Read answers with similar topics: