Home » Hanafi Fiqh » Mahmoodiyah » Working in a Mobile Store

Working in a Mobile Store

Answered as per Hanafi Fiqh by Mahmoodiyah

Question:

ASSALAMUALAIKUM!

KIA FARMATAY HAIN ULAMA KIRAAM:

MAY AIK MOBILE COMPANY (U-FONE) FRANCHISE OFFICE MAIN KAAM KARTA
HOON, MERI JOB CUSTOMER CARE MOBILE SAY RELATED HAY.

JOB KAY DORAN CUSTOMER ACTIVITIES MAIN (GPRS) ( MMS) JO KAY
ACTUALLY INTERNET SERVICE HAI ACTIVATE KARNA HOTA HAY.

GPRS SERVICES KAI SATH USKI  MOBILE SET PAR SETTINGS BHI KARNA PARTI
HAIN.
US MAIN CHOONKAI PICTURES BHI AATI HAIN OUR KAFI KUCH.

AB MARI JOB CUSTOMER KO SATISFIED KARNA HAI……..
AAP SAY NIHAYAT AAJZANA ILTIMAS HAI … KAY IS KI  MUFASSAL TEHQEEQ
KARKAI BATA DAIN
KAY MAIN IS JOB KO JARI RAKHOO YA JO SHAR’I HUKAM HO.


Answer:

Fatwaa no. 151/05

الجواب حامدا و مصليا

Aap ka kaam GPRS aur MMS ko Activate karnaa hai; is zaree’ain mobile fone isti’maal karne waale ko internet ki sahoolat haasil hoti hai.  Internet yaa MMS main har cheez naa jaaiz nahin hai aur ye isti’maal karne waale par mauqoof hai, aapkaa is main koi dakhal nahin hai.  Lihaathaa aap kaa kaam Shar’i i’tibaar se sahih hai aur aapki tankhaa Haraam nahin hai. 

And Allah Ta’ala knows best

Mufti Muhammad Ashraf

Darul Iftaa

Jameah Mahmoodiyah

10 Rabee’ul Aakhir 1426

19 May 2006

Read answers with similar topics: