Home » Hanafi Fiqh » Muftionline.co.za » Ghaaib ke baare me kisi se poochna

Ghaaib ke baare me kisi se poochna

Answered as per Hanafi Fiqh by Muftionline.co.za

Q: Meri ahlia ka naam … he. Maloom yeh karna hai ke woh ek wafadaar biwi hai kyu ke shaadi se pehle woh behaya thi.

Bismillaah

A: Dilo ka haal Allah Ta’ala jaante he. Allah Ta’ala ke ilawa koi owr nahi jaanta. Kisi se in cheezo ke baare me phoochna jaaiz nahi he. Aap apne biwi owr ghar waalo ke saat achcha sulook owr bartaaw kare owr rowzana ghar me fazaail-e-aamaal owr fazaail-e-sadaqaat ki ta’leem kare. Paanch waqt ki namaaz par paabandi kare owr tamaam na mahram lowgo ke saat purda ka ihtimaam kare. Ghar me agar koi najaaiz cheez mawjood he jaise tasweer, tv, wagairah, to us ku nikaal de. Is se Allah Ta’ala ki rahmat ghar me aaegi owr ulfat owr muhabbat ghar ke lowgo ke dilo me paida hogi.

And Allah Ta’ala (الله تعالى) knows best.

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

This answer was collected from MuftiOnline.co.za, where the questions have been answered by Mufti Zakaria Makada (Hafizahullah), who is currently a senior lecturer in the science of Hadith and Fiqh at Madrasah Ta’leemuddeen, Isipingo Beach, South Africa.

Read answers with similar topics: