Home » Hanafi Fiqh » Muftionline.co.za » Insurance company ki cheeze istimaal karna

Insurance company ki cheeze istimaal karna

Answered as per Hanafi Fiqh by Muftionline.co.za

Q:

1. Insurance company mn kam krna kesa? Agr kisi k papa insurance company mn kam krty hain aur unko wahan pr company ki tarf se diaries mily hain aur phir unho ny apni aulad ko di to aulad ny gift k toor pr apny friends ko di to kia wo friends wo gift rakh len?

2. Agr aulad ny wo diaries pr notes bnaiy aur kisi dost ny us se wo notes mangey to kia dost un diaries pr bnay notes ko hasil krny k liay wo diaries friend se let kr istimal kr sakta ya nhi?

3. Kai log bht sakht jumly bolty hain kai dafa to aesa laghta k inhoon ny kufria jumma bakka hai aesy mn in se baat waghaira krna kesa? Un se salaam lena kesa? Un k liay dua krna kesa?

4. Kia aesy logo k muta’alliq ye husn e zan rakh sakty hain k inhoo ny ihtiyati toor pr tajdeed e Iman kr lia ho gha?

5. Cheenk ka jawab dena ka ussi waqt hai ya baad mn daay sakty hain?

6. Kabhi ye pta nhi chalta class mn k cheenk kis ki thi to kia kia jaai?

7. Kabhi cheenk his aai WO door hota aur class b ho rhi hoti hai aesy mn kia kia jaai?

Bismillaah

A:

1. Ye diaries istimaal ne kare. Kisee ghareeb ko sadqah me de.

2. Notes ko lekar ke isee kaapi ko kisee ghareeb ko dede.

3. Unko kehdena chaahiye ke ye alfaaz istimaal ne kare warna hamse door raho.

4. Jab unki zindagi me koi zaahiri alaamat taubah aur islaah nahi to inko bura aadmi hee samjhenge.

5. Usee waqt me.

6. Zor se jawaab kehde.

7. Baland awaaz se jawaab de.

And Allah Ta’ala (الله تعالى) knows best.

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

This answer was collected from MuftiOnline.co.za, where the questions have been answered by Mufti Zakaria Makada (Hafizahullah), who is currently a senior lecturer in the science of Hadith and Fiqh at Madrasah Ta’leemuddeen, Isipingo Beach, South Africa.

Read answers with similar topics: