Home » Hanafi Fiqh » Askimam.org » Authenticity of Two Hadith

Authenticity of Two Hadith

Answered as per Hanafi Fiqh by Askimam.org

assalamu alaikum mufti sahab.

(1).”meri ummat ke ulama baatil par jama nahi hosakte” ya is tarha “meri ummat ka kaseer tadaad gumrahi par jama nahi hosakte” is tarha ka jo bi, hadees hain kya? agar hain tho baraye karam complete hadees with details batayiye please. ye ulema ke baare me kaha gaya ya awaam ke baare me?

(2).daayi ke 7 nasalo tak allah hifazat karta hain. iska kya maana hain? ye baat hadees me milta hain ya kisi auliya allah ne bataye the? please is baat ki hawala chahiye.

Answer

In the Name of Allah, the Most Gracious, the Most Merciful.

As-salāmu ‘alaykum wa-rahmatullāhi wa-barakātuh.

  1. Imam Tirmidhi ne apni kitab Sunan Tirmidhi mai ye hadith Hazrat ‘Abdullah ibn ‘Umar (radhiallahu ‘anhu) ke hawale se naqal ki hai jo is tarah he:

عَنِ ابْنِ عُمَرَ أَنَّ رَسُولَ اللهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: إِنَّ اللَّهَ لاَ يَجْمَعُ أُمَّتِي، أَوْ قَالَ: أُمَّةَ مُحَمَّدٍ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، عَلَى ضَلاَلَةٍ، وَيَدُ اللهِ مَعَ الجَمَاعَةِ، وَمَنْ شَذَّ شَذَّ إِلَى النَّارِ.

Hazrat Abdullah ibn Umar (radhiallahu ‘anhu) se marwi hain ke Allah ke Rasul (sallallahu alayhi wa sallam) ne farmaya: Bila shubha Allah taala meri ummat ko gumrahi par jama nahi karega. Allah ka hath (madad) jamaah ke sath hai. Jo koi rah se hat kar alaq hogaya woh Jahannam mai dakhil hoga. (Sunan Tirmidhi, 2167)

Imam Tirmidhi (rahimahullah) ne farmaya: ‘Jamaah’ se murad wo ulama hain jo hadees aur fiqha se waqif aur uspar amal karne wale hon.[1]

  1. Aisi koi hadees ham ko nahin mili.

And Allah Ta‘ālā Knows Best.

Lutfy Alam

Student Darul Iftaa

Checked and Approved by:
Mufti Ebrahim Desai.

_____


[1]

سنن الترمذي ت بشار (٤/٣٧) 

وَتَفْسِيرُ الجَمَاعَةِ عِنْدَ أَهْلِ العِلْمِ هُمْ أَهْلُ الفِقْهِ وَالعِلْمِ وَالحَدِيثِ

This answer was collected from Askimam.org, which is operated under the supervision of Mufti Ebrahim Desai from South Africa.

Read answers with similar topics: