Q: Mianay dekha kay main room main bed per betha laptop per internet use ker raha hon, raat ka waqt hay, mujhe koi dar mehsoos hota hay tu main shayad laptop main aisi ayat dhondnay lag jata hon jo hifazat ki hon, meri sisters room main ati hain aur meray pas chaye (tea) rakh ker chali jati hain, mujhe 2 ayat milti hain main unhay likhnay ki koshish kerta hon 1 paper per, lakin room ki light off hojati hay, main uth ker light kholnay ke liye sab buttons dabata hon per light nhi khulti, fan ka button band hota hay per fan chal raha hota hay, main bohot dar jata hon, phir shayad mujhe koi awazay ati hain, main dosray room main chala jata hon jahan mairay parents aur sisters bethay hotay hain main ro raha hota hon khof say aur bahar ki taraf ishara ker raha hota hon, phir walida kay pas blanket main ghus jata hon. (Is khawab kay meri ankh khul gai thi khof say aur mairay moun say khof ki waja say awazay bhi nikal rahi thi).
A: Subh shaam ko fajr aur esha ke bad laptop har giz ne dekhe aur Qur’aan Shareef ki tilaawat kare. Thora Fazaa’il-e-A`maal aur Fazaa’il-e-Sadaqaat ki taleem karte raho khusoosan sone se pehle.
And Allah Ta’ala (الله تعالى) knows best.
Answered by:
Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)