Home » Hanafi Fiqh » Askimam.org » Tubectomy

Tubectomy

Answered as per Hanafi Fiqh by Askimam.org

Asslamalekum Janaab :

Mera Name Abdul Wazid h Meri Wife ka 2 bar operation ho Chuka h. Pelhle operation se Ek ladki hui thi jiska usi din intkal ho Gaya tha. Doosre operation se judwa ladke hue Jo alhamdullillah khairiyat se h. Doctors ka kehna h k teesra operation risky hota h to aap ab bachhe band karane ka ilaj Kara lijiye. Apse darkhast h plz suggest kare Kya Karna chahiye..?

Answer

In the Name of Allah, the Most Gracious, the Most Merciful.

As-salāmu ‘alaykum wa-rahmatullāhi wa-barakātuh.

Wiladat ka marhala khud nazuk aur khatarnaak hota hai, koi doctor apne uper zimme dari nahi lena chata, isliye is tarah ke operation karane ka mashwara qabl as waqt dete hain.

Aap kisi ache musalman khuda taras mahir doctors se mashwara lein aur Allah per bharosa rakhein.

وَمَن يَتَوَكَّلْ عَلَى اللَّهِ فَهُوَ حَسْبُهُ ۚ إِنَّ اللَّهَ بَالِغُ أَمْرِهِ ۚ قَدْ جَعَلَ اللَّهُ لِكُلِّ شَيْءٍ قَدْرًا

جو شخص اللہ پر توکل کرے گا اللہ اسے کافی ہو گا۔ اللہ تعالیٰ اپنا کام پورا کر کے ہی رہے گا اللہ تعالیٰ نے ہر چیز کا ایک اندازہ مقرر کر رکھا ہے [1]

Aam halaat me bachha dani nikal ker hamesha ke liye waqt tauleed khatm karna haram hai, isliye isse bachien [2]

Jab tak aurat ki tabiyat bahal na hojaye, waqti taur per hamal ko rokne wali dawai istemaal ki ja sakti hain. [3]

Agar musalaman mahir doctors bhi ye kahein ke ye wiladat ke bilkul mutahammil nahi hai, balke aayinda hamal tehrne se, aur wiladat ki suroot me maa ya bachhe ki jaan ja sakti hai, to is intehaa`i majboori ki suroot main bache na hone ka operation karane ki gunjaish hai. [4] [5]

Aap shak me na padhein aur Allah per bharosa rakhien, usse dua bhi karien.

Allah aapko aafiyat aur durustagi ataa farmaye. Ameen.

And Allah Ta’āla Knows Best

Anas Sharieff Qasmi.

Student Darul Iftaa

Hyderabad, India.

Checked and Approved by,
Mufti Ebrahim Desai.

1.Surah Talaq:3

2.Fatawa Deeniyah [5/249]

3.[ Fatawa Mahmudiyyah/373:27]

4. [Fatawa Mahmudiyyah/372:27]

5. Fatawa Alhindiyyah [360/5] 

لا باس بقطع العضوإن وقعت فيه الأكلة لأن لا تسرى /وأيضا في الفتاوى التاتارخانية[٢٢٥/١٨] [زكريا]

This answer was collected from Askimam.org, which is operated under the supervision of Mufti Ebrahim Desai from South Africa.

Read answers with similar topics: