Home » Hanafi Fiqh » Askimam.org » Can one give Zakah to his father-in-law?

Can one give Zakah to his father-in-law?

Answered as per Hanafi Fiqh by Askimam.org

Assalam o alaikum,

                             Hazrat mera name Ahsan uz zaman hai aur mera ek sawal hai islam k mutabiq. Ek aurat ka shohar kamanay wala hai aur woh apni zakat ki raqam kisi ko daina chahta hai aur us ny apni zakat ki raqam dainay ki ijazat apni biwi ko dy di hai k woh jis bhi mustahiq ko daina chahay dy sakti hai, to kia beti apnay baap ko woh raqam dy sakti hai? us ka baap maqrooz hai, us ka qarz ada karnay k liay? Umeed hai aap ko sahi sawal samjha saka hon main. jawab ka muntazir hon. ALLAH hafiz

Answer

In the Name of Allah, the Most Gracious, the Most Merciful.

As-salāmu ‘alaykum wa-rahmatullāhi wa-barakātuh.

Usoolan ek admi apne sussar (Father-in-law) ko apni Zakat ki raqam ada kar sakta hai. Is soorat e hal mein, biwi shohar ki wakeel hai. Chunanche, beti/biwi shohar ki Zakat ki raqam apne bap (jo shohar ka sussar hai) ko ada kar sakti hai.[1]  

And Allah Ta’āla Knows Best

Abdullah ibn Mohammed Aijaz

Student Darul Iftaa
Baltimore, USA 

Checked and Approved by,
Mufti Ebrahim Desai.

This answer was collected from Askimam.org, which is operated under the supervision of Mufti Ebrahim Desai from South Africa.

Read answers with similar topics: