Home » Hanafi Fiqh » Darulifta-Deoband.com » Which of the 3 occurrences of the husband saying he gave a divorce is considered valid?

Which of the 3 occurrences of the husband saying he gave a divorce is considered valid?

Answered as per Hanafi Fiqh by Darulifta-Deoband.com
Assallam alaikum, Main apse ek masle me roshni talab karta hu umeed ap meri mushkil sharai aitebar se door karege. Meri ek ladki se dec 2004 me mulaqat hui. ye ladki hai to muslim magar bohat hi modern khayalat se wabasta aur naukri pesha. Hum log dosti me ek doosre ke kafi kareeb agaye aur faisla kia june 2005 main hum shadi karlege. Is dauran may 2005 me use hamal tehar gaya. Jo sirf hum dono ko pata tha, mukharar waqt ke hisab se humne june me nikah karlia jis me ladki ke walidain sharik the aur meri taraf kisi ko is baat ki itelah nahi di gayi. Mazeed malumat ke liye ladki pehle se talaq shuda thi aur meri bhi ye doosri shadi thi. Feb 2006 ko hamare yaha ek ladke ki amad hui. Iske kuch mahine baad mere ghar walo aur biwi bacho ko is baat ka pata chala aur sabne ispe mukhalifat ki. Maine kafi koshish ki sab ko samjhane ki likin meri pehli biwi is rishte ko manzur nahi kar rahi thi jiski wajahse saara qandan usi ke tarafse hua aur muje majboor karne lage ki main doosri biwi ko chod du. Unka kehna hain ki ladki bahot modern hain aur mere qandan me fit nahi ho sakti. Sab ka continues mujh pe zor hone laga ke main us ladki ko chod du aur ladki ka pressure ke mujhe ghar le chalo kyonki isi wade pe ladki ne mujse shaadi ki thi. Sabko maloom hone se pehle haalat ko samajkar maine us ladki ko kaha ki mujhe khula de de. Waqti pressure kam hote hi hum phir ruju ho sakte. Ispe ladki ne inkar kardia ye kehke ki uska pehle bhi ek khula ho chuka aur wo ye kaam dobara nahi karsakti. Ghar walo ka mujh pe continues pressure badraha tha aur doosri taraf ye ladki chahati thi main use apne ghar le jao. Issi darmian mere walid ne kaha jis waqt tumhara nikah hua ladki hamal se thi lehaza tum logo ka nikah jayaz nahi hai. Agar tum sath rehna chahate ho to dobara nikah karna hoga. Ye baat mere dimag me ghar kar gayi. Aur waqti pressure ko khatam karne maine us ladki ko talaq de dia ye soch kar ke mujhe dobara nikha to karna hai mera pehla nikah to jayaz nahi to mera ye talaq bhi bemani hai. Maine do talaq ke papers ek hi din me bana liye ( 20th April 2007 ko , March 2007 ke talaq ke papers bhi bana liye jisme mere dost witness bane the) Mamla sukoon me ane pe main apna nikah durust karlu. Maine ye baat ladki ko bina bataye karli. Talaq ki baat ladki ko 3 mahine bad mere dostonse pata chali thi. ye sab bato se ladki ka dil islam se ub gaya. Main ab chahata hu us ladki ko apne sath rakhu ta ke who phir se us mordernism ki taraf nahi balke puri tarah islami aitebar se zindagi guzare. Mera sath milne pe ye baat puri tarah mumkin hai mujh se agar wo door ho gayi to phirse who mordernism ke ghinaune mahol me pohach jayegi main nahi chahata aisa ho. Aur meri bhi dili khowish hai us ke sath zindagi guzarne ki. Apse guzarish hai ke ap mujhe sahi sharai rasta dhikai. Ab kuch log bolte hai ki mera nikah bhi jayez tha to mera talaq bhi ho gaya. Mujhe samajh nahi raha main kya karu talaq jo maine dia wo meri niyat nahi thi main to ye samajhta tha mera nikah nahi hua to mera talaq bhi bemani hai. Aj main ajeeb kashmakash me phas gaya hu lehaza ap isme roshni dale. Main use nibhana chahata hu aur puri tarah islam pe munaviz karna chahata hoon. mera sath chut gaya to wo phir bhatak jayegi. Kisi bhi soorat mein hum dono zindagi ek sath guzarna chahate hai. iske liye kya karna hoga please hame bataiye. Allah hamari katao ko maaf kare apse bhi dua ki guzarish salamalikum

Answer

(Fatwa: 944/733=H)

Nikah conducted in a state of pregnancy was valid. Later, the talaq given by you also took place. Send a copy of divorce-letter, then it can be said whether you can marry the divorcee or not.

Allah (Subhana Wa Ta’ala) knows Best

Darul Ifta,
Darul Uloom Deoband

This answer was collected from the official ifta website of Darul Uloom Deoband in India.

Read answers with similar topics: