Home » Hanafi Fiqh » Muftionline.co.za » Decoding a Dream: My Morning Vision After Fajr Prayer in Maine

Decoding a Dream: My Morning Vision After Fajr Prayer in Maine

Answered as per Hanafi Fiqh by Muftionline.co.za

Q: Maine aaj subah fazar ki namaz ke bad jab meri aankh lagi to ek khawab dekha jisme bohot bhidh thi shayed shadi wala ghar tha sab ready ho rahe the par main bahar thi wahan ek ladki mere sath me thi wa mujh se puchne lagi ki sab thik hai na mere aur mere shauhar ke beach to maime kahan haan sab thik hai thoda gussa hain par koi baat nahi maan jayenge..actually me mere ayr mere shauhar ke beach problems chal rahin hain..us ladki ne kahan kisine usse kaha hai ki mere shahur ke dil aur dimag me bus tum ho uske bad hum dono us ghar ke andar gaye ek kamre me gaye to wahan mere shauhar ready ho rahe the aur unke dost aur mere chachha baithe the to isliye main wahan se chali gayi par wa ladki kamre me jhakne lagi to mere shauhar se joor se kahan jao to wa chali gayi fir main v ready hone ja rahi thi to ek rum me meri nanad dikhim to maine unko salam kiya to wa jawab de ke rone lagi fir mujhe ek dress diya unhone aur ek aurat boli ye dress tumhare liye mamgwayi hain online to main wa drezs leke chali gayi aur apna saman dhudne lagi ready hone ke liye par mil hi nahi raha tha aur wa kamra v nahi mil raha tha jahan mere shahur ready ho rahe the uske bad ek jagah meri behen aur meri ammi dikhin maine kahan mera saman hi nahi mil raha hai maime baji ne jo dress diya tha wa pehen liya par meri behen ne kahan ye nikalo fir maine kahan thik hai main apna rani color wala frock chuddidar pehen leti hoon par mera saman hi nahi mil raha tha. Sir is khawab ko taberr bata dijie.

Bismillaah

A: Showhar ki khidmat kare owr unki huqooq poora kare. Zindagi me mukhtalif qisam ke ahwaal pesh aayenge, lekin insaan ku chahia ke wo dishwaariyou ku bardaash kare owr sabar se kaam lele. Namaaz ke ba’d ye attached dua parhe. Allah Ta’ala aap ki pareshaani ku door farmae.

And Allah Ta’ala (الله تعالى) knows best.

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

This answer was collected from MuftiOnline.co.za, where the questions have been answered by Mufti Zakaria Makada (Hafizahullah), who is currently a senior lecturer in the science of Hadith and Fiqh at Madrasah Ta’leemuddeen, Isipingo Beach, South Africa.

Read answers with similar topics: