Home » Hanafi Fiqh » Muftisays.com » Did Salim give his wife a divorce by saying “talak” three times without making any sound?

Did Salim give his wife a divorce by saying “talak” three times without making any sound?

Answered as per Hanafi Fiqh by Muftisays.com
Mera meri biwi ke saath kisi baat par jhagda ho gaya. Jhagde ke waqt main kuch nahin bola, lekin jab dusre din main nahane ke liye gaya to ekdam se pichle kal ki baat yaad aa gaayi. Eesa lag raha tha mano pichle kal ki puri film mere dimaag main wapas chal rahi ho aur main kal wala manzar goya meri aankhon ke samne dekh raha tha, mano main khud hi maazi (past) main chala gaya hun. Usi waqt mere dimag main yeh khayaal aaya ki pichle kaal mujhe aisa karna chahiye tha aur yeh bhi soch raha tha ki aagar wapas meri biwi kal wali harkat kare, to main aisa karoonga aur phir main wapas wohi pichle din ka sara manzar mere dimag main dekhta hun. Lekin iis baar main yeh sochta hun ke main jis jagah pichle din betha tha, wahan se uthta hun aur apni biwi ko to tamache lagata hun. Maine tamache lagane ka ishara apne haathon se bakayda kiya aur phir main talak de rahan hun aur meine 3 time talak, talak , talak kaha. Waise to yeh sab pichle kal ka manzar sochte huye mere khayalon main hi ho raha tha lekin maine apni zubaan se 3 dafa talak, talak, talak aada kiya. Aaad karne se mera matlab yeh hai ki maine usko kaha lekin bagair awaz ke kaha, mere laab to hile lekin koi awaaz na nikli. Mujhe paaka yakeen hai ki aagar koi mere bazu main khada hota to woh usko na sunne paata aur agar farz kare kuch bhinbhinahat si sunta bhi, to use pata nahin chalta ki maine kya kaha.

Mujhe aap se mashwara lena hai ki kya is suraat main talaaq ho gayi?

Mujhe please iska jawab de kar mere dil par se boojh ko halka karain. Iski wajah se main bahoot beechen hon.

Allah aap ko khoob, khoob jazae khair aata kare aur aap ke ilm main aur umar main barkat aata Karen. Aamin.

PS: You can write answer in English.

– Salim.

Answer
Bismillahir Rahmaanir Raheem
Al Jawaab Billahit-Tawfeeq

Respected brother,

In the above mentioned case, as detailed and realistic the thoughts were, Talaaq will not occur as it was mere thoughts (Khayaal/Takhayyul).

And Allah knows best

Answer approved by Mufti Saifur Rahman

————————————–
Maulana Muhammad

Original Source Link

This answer was collected from MuftiSays.com, based in London (UK). It is one of the fruits of Darul Uloom London. Many ‘ulama are involved in answering the Q&A on the site, including: Shaikul Hadeeth Mufti Umar Farooq Sahib, Mufti Saifur Rahman Sahib, Mufti Abdullah Patel Sahib, Maulana Qamruz Zaman Sahib, Mufti Abu Bakr Karolia Sahib.

Read answers with similar topics: