Home » Hanafi Fiqh » Askimam.org » Khwab ka kya matlab he?

Khwab ka kya matlab he?

Answered as per Hanafi Fiqh by Askimam.org

“meri ek friend ne khwab dekha k wo apne mayke mein hai jo ban raha hai, tabhi uske papa ne use uska beta diya h ye kehkar ke le sambhal apne zamir ko (jo kuch maah pahle expire ho chuka hai) .

to usne us bete ko god me liya tabhi usne apni maa ke kapde kharab kar diye pishab karke.”

please mujhe bataye k is khwab ka kya matlb h.

aise khwab use aksar aa rhe hain.

Answer

In the Name of Allah, the Most Gracious, the Most Merciful.

As-salāmu ‘alaykum wa-rahmatullāhi wa-barakātuh.

Khwab ki mithal eysi he jis tarah ek musafir raasta pe safr kar raha ho. Musafir safar kart e huwe bohot sare manaazir dekhta rehta he. Baaz manazir us ko ache awr khoobsurat lagte he awr baaz us ko itne ache awr khoobsurat nahi lagte. Chunanche musafir safar karte huwe apna diyan awr tawajjuh nahi chornta awr ye sare manazir dekne ke liye nahi rukta.

Isi tarah hum sab dunya me musafir he. Hamara diyan awr tawajjuh khwabo ki aarzi dunya ki taraf diyan awr tawajjuh nahi hona chahye. Hame zindigee ki haqeeqi baate par tawajjuh dalna chahye. Khwaboh ko yad karte huwe awr us ke tabeeraat par ghawr awr fikr karna abath kam he. Khwaboh zindigi ko nahi badal sakte.

Apni zindigi ka maqsad par ghowr awr fikr karna chahye. Allah Taala Quran Kareem me farmaate he:

 

وَمَا خَلَقْتُ الْجِنَّ وَالْإِنْسَ اِلَّا لِيَعْبُدُوْن[1]

Tarjamah:

Me ne jinnat awr insan ko sirf meri ibadat ke liye payda kiya (Dhariyaat: 56)

Allah Taala ki taraf rujoo karo. Kathrat se salat zikr awr dua me lage raho.

And Allah Ta’āla Knows Best

Mizanur Rahman

Student, Darul Iftaa

UK

Checked and Approved by,
Mufti Ebrahim Desai.

______


[1]  القرآن الكريم (الذاريات: 56)

This answer was collected from Askimam.org, which is operated under the supervision of Mufti Ebrahim Desai from South Africa.

Read answers with similar topics: