Home » Hanafi Fiqh » Askimam.org » Kya mere oupar qarz hain?

Kya mere oupar qarz hain?

Answered as per Hanafi Fiqh by Askimam.org

Mera  masla yeh hai main ne ik company main 12 saal job ki or company ko buhat taraqe hoe mere mehnat kaam ki waja se us company ka malik buhat khush tha mere kaam se or mujhe kahin baar us ne kaha ke main tumhe tumhare mehnat ke siley main ik makan lekar dunga or kahin baar quran paak ko hath main lekar yeh baat kahin

Hamara ghar buhat purana or khasta haal tha jese hum badla chahte the magar paiso main kuch kami the ik din hamein ik ghar mila jo hamare hesyat k mutabiq he tha jis k hasool k lie apna ghar ki qeemat or mazed 500,000 panch lac rupe or chahye the

mujhe achnak company k malik ka woh wada aaya or company k profit k paiso se main ne 5 lacs rupe lekar apna who new ghar khared lia.

Or company ka malik jo us waqt mulk se baher tha uske aney k bad main ne usey yeh bat batae or usne kaha thek hai mera commitment tha wese bhe yeh silsila 1 saal chala or us company k malik ki pore family Canada chali gae or who akela yaha rehta tha achnak se uski neyat main kuch fatoor aya or mujh main interest lena start kardia bilawaja ka touch karna hath per oulte sedhe batein karna or ik din mujhse kaha ka mujhse chup kar nikah karlo main apne adhe doulat tumhre naam kardunga or khufia shadi karlo jis per mujhe yeh bat sakht na gawar guzre or dant dia or kaha main yeh job chor dunge to woh shaks khamosh raha kuch din pher kuch din baad usne mujhe black mail karna start kardia k main tum per chore ka ilzam lagaoga tumhre ghar walo ko FIA walo se outhwaloga police ko de dunga yeh 5 lac tum ne churae hai agar mere bat na mani the mujhe bht bht zehni torture kya yeh bat main ne apne ghar main kisi ko nahe batate or khamosh rahe ke kya batao kahin yeh shaks mere ghar walo ko nuqsan na pohnca de ik din is company k malik jis ka naam imran rauf tha office aya or kaha aaj tumhe main chunga nahe maza chakhnga dekho main kya karta ho main buhat depression mian the main us khudkushi ki koshish ki or zeher pi lia us he office k bathroom  mian jakar jis per wo admi ghbra gaya or office k staff ke sath mujhe civil hospital bheja jaha main zindage or mout ki kashmakash main 7 din ICU main rahe or bach gae in 7 dino main us company k malik ne mere ghar walo ko buhat dhamkia de or kaha tumhare bête mere paisa churaya hai or yeh harqat ki tum logo na mere khelaf koi police ko bayan dia to acha nahe hoga kyunki mere ghar wale nahe jante the hoa kya hai or hoa bhe yeh waqia office main tha mein bayan dene ki halat main nahe the magar jab main thek hoe main ne sub bataya apne ghar walo ko to unho ne pher  us company k malik se bat karna chahye k yeh kya harkat hai to oulta dhamkya dene laga or kehta main FIR katwaoga ab tum sub ko nahe churunga  mere ghar walo ne buhat koshish ki masle ko hal karne ki or 5 lac bhe kisto main wapis lotane ki magar who dimage bemar insan hai jis kuch samjh nahe araha tha or akher kar hum ne faisla kya hum police main jakar is ki report karenge hum ne ik application thane main jama karwae or thane wale ko usey parh kar rakhli ke abhe sahab nahe kal aana kyunki police ka rawaya aap jante hai hamare masher main bina paise ke kuch nahe karte.

Un police walo ne us imran rauf ko bulaya or bataya apke khelaf yeh parcha aaya hai who chunke ammer taren insan tha uske taluqat bhe the us thane k SHO se lekar investigation officer ko itna paisa khelaya ke woh sub uske hogae

Pher agley din main jab gae apne dakhwast k lie to mujhse or mere bhai or walid se batameze se pesh aaye police wale or kehte tumne office main chore ki hai or oulta unho ne mere FIR katege tum ne company se 22 lac rupe churaye hai tumhare yeh application jhote hai jao yaha se or hum waha se lout aaye hum ne socha vakeel se mashwara kar ke court jayenge kyunki who shaks hamein musalsal tang kar raha tha k apni beti ko wapis office bhejo to hum adalat main ik application file ki hamein insaf or tahafuz de jis ka pata us admi ko chala to us ne foran thane main jakar mere FIR katwade ki yeh mere company se 22 lacs rupe chura kar gae hai or mujhe arrest kare foran jab hamein is bat ki itelah hoe main court jakar us jhote FIR ki zamanat karwae or ab jhota case adalat main chal raha hai jhote saboto per magar abhe tak koi faisla nahe hoa uska who abhe chal raha hai case woh shaks abhe bhe mere jani dushman bana hoa hai ke kisi tarha se is se badla lo main

Hamain us shaks ke woh 5 lac dene hai jis per hum chahte the hum har maah ik kist k tor per ada kardenge jiske yeh dawe karta quran pak outha ke main dunga magar hamein nahe chhahye hum dene k lie tayar ha 5 lac kist k tor per magar woh jhota case 22 lacs ka or woh shaks mujhse inteqam chahta hai

Ab mera masla yeh hai mujhe cancer hogaya hai jo last stage per hai mujhe nahe pata ke mere pas zindage ke kitne bache hai or main ne mar jana hai is bemare main mujhe samjh nahe araha woh 5 lac main ab kis surat main ada karo kyunki who shaks to 22 lac ka case kar k betha hai or inteqam chahta hai pore ghar se magar marne ke baad mujhe us paise ka jawab dena hai jo main samjhte ho ab k mujh per qarz hai magar main ne jab leye the us ki razamandi se leye the or us ne kuch nahe kaha tha 1 saal tak who khush tha bhat company ki taraqe se mere kaam se buhat faida ho raha tha

Mujhe samjh nahe ara ha us 5 lac ka main kya karo ada karo kya karo kya marne k baad mujhse yeh sawal hoga kya yeh qarz hoga mujh per ?? or agar hoga to usey kis surat ada kia jaye kyunki who shaks nahe lega 5 lac wo hamein barbad karna chahata hai agar yeh qarz hai to pher kya koi dosre surat hai jis k amal se yeh marne k bad yeh bojh mujh per na ho

Please buhat serious issue hai yeh mere lie or mere pas time buhat kam hai mere rehnumaye farmaye

Answer

In the Name of Allah, the Most Gracious, the Most Merciful.

As-salāmu ‘alaykum wa-rahmatullāhi wa-barakātuh.

Muhtaram Bhai,

Ap ke is surat haal phar kar bohot afsoos huwa. Dua hain ke Allah Taala ap ke un mishkilaat ko dur famae aur ap ko shifa e kaamila ata famae.

Ap ne jaise arz kiya, ke mazed jo raqam ap ko ghar khareedne ki zarurat thee ap ne company ke profit ke paison se ada kiya. Phir malik ke aane par , jab ap ne malik ko bataya , us par oun ko koi ishkaal na tha. Un ke is alfaaz se “thek hai mera commitment tha wese bhe” do ihtimaal rakhti hain, ek ye ke wo khush tha aur inta raqam ap ko hiba(hadya) ke tor par diya. Dousri , ye ke chalo liya jab munasib ho waapas kardena. To dousri surat qarz hogi. Ye asal un ki (malik) ki niyat par mauqoof hain.

Bahar haal, ap ko ye nassehat ki jaati hain ke ap Hazrat Mufti Taqi Usmani Saheb hafizahullah , ya koi aur Mufti jo Pakistan mein muqeem hain , un ki khidmat mein ap ke iss surat e hal ko pesh kijiyer. Ummeed hain Allah ke fazlo karam se ke ap ki ye museebat jald se jald Allah door karde ga.

 And Allah Ta’āla Knows Best

Ibn Jibran Kadarkhan

Student Darul Iftaa
Mauritius  

Checked and Approved by,
Mufti Ebrahim Desai.

This answer was collected from Askimam.org, which is operated under the supervision of Mufti Ebrahim Desai from South Africa.

Read answers with similar topics: