Home » Hanafi Fiqh » Muftionline.co.za » Saheeh Aalim ki talaash karna

Saheeh Aalim ki talaash karna

Answered as per Hanafi Fiqh by Muftionline.co.za

Q: Saray maslak waly yeh kehtay hain ke hum he theek hain, bralvi Kehtay hain hum theek hay, deobandi khud ko theek kehtay hain,aur ici tarah Ahle hadees aur shia bhe, ap muje bataen k mein kis ke baat manon kis ko theek manon?

Bismillaah

A: Agar me ne bataya bhi to aap kis tarah samjhenge ke me ne saheeh kaha. Behtar ye he ke koi saheeh aalim jo dunyadaar qisam ka ne ho, sunnat ka ihtimaam karta ho, namaaz ki paabandi jamaat ke saath karte ho, halaal haraam ke masaail me pakke ho, ghalat jagoh aur ghalat logo ke saath ta`alluq ne ho, apne mu`aamalaat aur a`maal akhlaaq me saheeh ho, ayse aalim ki talash karo aur unke peeche chalo.

And Allah Ta’ala (الله تعالى) knows best.

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

This answer was collected from MuftiOnline.co.za, where the questions have been answered by Mufti Zakaria Makada (Hafizahullah), who is currently a senior lecturer in the science of Hadith and Fiqh at Madrasah Ta’leemuddeen, Isipingo Beach, South Africa.

Read answers with similar topics: