Home » Hanafi Fiqh » Askimam.org » Khawab ti taabir

Khawab ti taabir

Answered as per Hanafi Fiqh by Askimam.org

ek din raat maine istikhaara kiya nikah ke liye rahnumai ki garz se. ladki aalima ban rahi hai. raat ke akhiri hisse mein khwab me ye chize dekhin
1) Main galiban barelwi maslak ki masjid me namaz padh raha hun and namaz k bad galiban imam ne unke maslak ki kuch kitabein muqtadiyon ko taqseem kin.kitabein lete waqt mere dil me khayal aaya tha ke ye sahi maslak nahi h aur jhijhak mahsoos huilekin phir bhi maine kitabein lin sirf malumaat haasil karne ki garz se2) Maine ek pahad dekha jo is had tak tarasha gaya hai k bas kisi bhi waqt gir jaega                        
3) Maine dekha k main ek makhloot taleemi idare me ghoom raha hun, kisi ko dundh raha hun, galiban daawate deen ki garz se.

agli raat phir istikhara kiya, aadhi raat 1.45 AM se pahle khwab dekha. jo is tarah hai 
1) Main galiban kisi border area pe ek project ka cheif bana diya gaya hai. Dushman ka ek raaste se andar aane ka khtra hai aur main us raaste ko jadeed aslah jaat k zariye mahfuz karne ki koshish me laga hua hun.

In dono khwabo ki tabeer bataein. 

Answer

In the Name of Allah, the Most Gracious, the Most Merciful.

As-salāmu ‘alaykum wa-rahmatullāhi wa-barakātuh.

Khwab number 1,2 awr 4 me kuch manfi pehlu he. Khwab number 3 zaahir he. Aaap kisi aur ko rishta ke liye talaash kare.

And Allah Ta’āla Knows Best

Huzaifah Deedat

Student Darul Iftaa
Lusaka, Zambia 

Checked and Approved by,
Mufti Ebrahim Desai.

This answer was collected from Askimam.org, which is operated under the supervision of Mufti Ebrahim Desai from South Africa.

Read answers with similar topics: