Home » Hanafi Fiqh » Mahmoodiyah » Garments below the Ankles

Garments below the Ankles

Answered as per Hanafi Fiqh by Mahmoodiyah

Question:

asslamoalikum

kia farmatay han ulamai karaam is maslay k baaray may k shalwaar ko thukhno say neechay rakhna agar takabbur ki niyaat say nay ho to kay sa hay?yaani agar ayk sahi musalmaan ya kahay k mayray andar takabbur nahi balk may aysay hi shalwaar neechi  rakhta hun or ahaadees-e-mubaarka may jo waeed aai han wo to mutakabbir k liy aai han or jo ayk sahaabi ghaliban hazrat-e-umar (rta) k baaray may aaya hay k unhon nay apni shalwaar k nichlay hissay kaat diy thay to wo taqway ki bina par thay.kia is shaks ka tarz-e-amal or daleel sahi hay?

 

 


Answer:

 

Fatwaa no. 162/03

 

Ye tarz-e-amal aur is tarah ka istidlaal bilkul ghalat aur be bunyaad hain.  Ahaadith me jo wa’eed aayi hain shalwar ke thukhno se neeche hone ki pas woh riwaayaat do qism ki hain.  Ek to ye hain ke shalwar ko thukhno se neeche rakhna mutlaqan ghunaa hain aur dusri riwaayat me thukhno se neeche ho takabbur ki shart ke saat.  Ulama Kiraam farmaate hain ke dono surato me isbaal Haraam aur Ghunaa hain, chaahe takabbur ki niyyat ho yaa na ho.  Balke farmaate hain ke mutlaqqan isbaal ka Ghunaa to hogaa hi magar agar takabbur ke saath hain to hurmat aur bhi sangeen hogi.  Hazrat Umar (R.A.) ka waaqi’ah hume nahin mila lekin isbaal kaa hukm yahin hain jo hum ne oopar zikr kya.  (Nasaai, Vol. 2, Page 298, Imdaadul Fataawaa, Vol. 5, Page 122)

And Allah Ta’ala knows best,

Ilyaas bin Hashim Limbada

Attested to as correct by:

Mufti Muhammad Ashraf

Darul Iftaa

Jameah Mahmoodiyah

Springs

25 August 2003

26 Jumaadul Ukhraa 1424

Read answers with similar topics: