Home » Hanafi Fiqh » Darulifta-Deoband.com » Kya galti ki iscilah ho sakti hai taki hum us ladki se nikah kar sakein?

Kya galti ki iscilah ho sakti hai taki hum us ladki se nikah kar sakein?

Answered as per Hanafi Fiqh by Darulifta-Deoband.com
Janab Assalam-mualayikum, Hum ek kafi bade masale me fhase hue hai, Humne apki Nikkad kitab (english version) padhi hai, Usme Line no.18 per jo masala bayan kar rakha hai, usse talluq rakhta hai. Humne wohi masala Shahi-Bukhari me bhi padha. Janab, hum pichle kayee mahino se apni shadi ke talluq se fiqar ghuza the, or dil jaisi koi ladki nazar me nahi aa rahi thi. Tab achanak Humari Phupu ki ladki jo humari hum umr hain kisis tijarati fiqar se humare yahan rehne aayi. Uski aadatein, soch, taur-tariqee dekh kar woh hume pasand aane lagi, usme woh tammam sifatein hain jo hum apne jode me talsh kar rahe they, Hum apni yeh pasand apne walidaein ko pesh karnehi wale they ki Shahi-Bukahri ke supplement per nazar gayi. jo Line no. hum pehle bayan kar rakhe hain. Jo wakiya usme bayan hua hai, hum wahi galti apne umr ki 13 weh saal me kar baithein hai, Hum apne nafz ke hathon kaid ho rakhe thein or raat k waqt humne apni phupu ko galat intension se unke jism ko hath lagaya. Yeh galti 2-3 martaba ho chuki humse Is baat ko ab 13 saal ho chuke hain, Ab bataur Allah Hukum, hum unki ladki se nikaah nahi kar sakte, Per hume woh ladki kafi pasand hai, Kya is galti ki koi iscilah nahi ho sakti, taki hum usse nikah kar sakein. Batur-ehsaan hum guzarish karte hain ke hume jaldi jawab mile, usse kuch ladkewale dekh ne aane wale hai agle budh ko, hum usse pehle apni khwahish apne walidein ke samne rakhna chahte hai. Ap ke jawab ka badi be-sabri se intezar kiya jaye ga. Dua- ke darkhwast Allah Hafiz!

Answer

(Fatwa: 437/309=H/1430)

You cannot marry the daughter of your aunty (phupu) about whom you profess to touch her with lust, it is haram for you to marry her daughter. Discard from your mind her love and the thought of marrying her, and repent to Allah sincerely for what you have done with your aunty.

Allah (Subhana Wa Ta’ala) knows Best

Darul Ifta,
Darul Uloom Deoband

This answer was collected from the official ifta website of Darul Uloom Deoband in India.

Read answers with similar topics: