Home » Hanafi Fiqh » Askmufti.co.za » Taubah ka aik Tareeqah

Taubah ka aik Tareeqah

Answered as per Hanafi Fiqh by Askmufti.co.za

Q. Gunah karne ke ba’d Taubah kaise karun?

This question and answer is in Urdu due to many requests

Agar koi shakhs chalte chalte girjaae tau wahaan par para nahi rehta balke khare haukar phir sai chalna shuroo karta hai. Gunah mein yahi baat hai. Jab bhi gunah haujaae, fauran Taubah karlein. Jis shakhs ne gunah nahin chora, woh Taubah ko bhi na chorein. Gunah karne ke ba’d Taubah karte rahau jab tak gunah na chut jaae.
Jis shakhs ne jab bhi gunah kiya aur Taubah karta raha, aisa shakhs aadi gunehgaar mein shumaar nahin kiya jaaega aur yeh bhi qaabile qadar baat hai.

Hadeeth Shareef mein waarid hai ke jau shakhs kisi gunah sai jab Taubah karta hai tau aisa hai ke jaise usne woh gunah kiya hi nahin. (Ibni Maajah J2 S1419).

Taubah karte waqt, in baaton ko dhiyaan mein rakho:
*Taubah karte waqt us gunah mein mubtalaa na hau.
* Dil mein nadaamat aur pachtaawa hauna chaahiye.
* Allah Ta’aala sai wa’dah aur ahd kare ke us Gunah ki taraf waapas nahin lautenge.

Koi bhi gunah chaahe kitna bara hau aur chaahe kitna puraana hau, Taubah sai maaf aur saaf haujaata hai. Allah ki taraf mutwajjeh haujaaw tau Allah tumhari taraf mutawajjeh honge.
Allah Ta’aala tumhe apne naik bandon mein shumaar karein, Aameen.

Gunah ke ba’d zaroor Taubah karna chaahiye aur Khudaa sai wa’dah karo ke phir nahin karenge. Gunah naama a’amaal sai mitaya jaata hai Taubah ke ba’d.
Agar hausake aur gunjaa’ish hau tau kuch Sadaqah Khayraat bhi kare. Sadaqah Khudaa Ta’aala ke ghazab ko door karta hai.

Taubah ke aik behtareen tareeqah yeh hai:

Do (2) Rakaat Namaaz Taubah ki niyyat sai is tarah adaa karo:
Surah Kaafiroon (Qul Yaa Ayyuhal Kaafiroon) ko Surah Faatihah ke ba’d pehli Rakaat mein parho. Doosri Rakaat mein Surah Faatihah ke ba’d Surah Nasr (Izaa Jaa’a Nasrullaahi wa Fath) parho. Agar yeh do Sooratein yaad nah au tau koi bhi Surah parhli jaae.
Namaaz poora karne ke ba’d Khoob Istighfaar (Astafgfirullah waghayrah) parho. Uske ba’d Du’aa mein mashghool haujaaw aur Taubah karo. Allah sai wa’dah karo ke aaindah gunah sai door rahenge. Tamaam gunah sai Taubah karo, jau jaan kar kiya yaa anjaane mein, jau yaad hai yaa nahin hai, jau gunah samajh kar kiya yaa be samjhi mein. Allah Ta’aala sai madad ki beekh mango ke gunah sai bachne mein tumhari madad farmaaein. Taubah karte waqt kuch aansu bahaaw aur agar na bahaasake tau kum sai kum apne chehre ko raunewaale ki tarah banaaw.
Taubah ke ba’d yeh yaqeen rakho ke Khudaa ne tumhe maaf kardiya.

Yeh yaad rahe ke agar gunah aisa hai jisme doosre ka haq tha aur haq talfi huwi hau tau mehaz Taubah kaafi nahin hai. Yaa tau us haq ko adaa karo yaa us shakhs sai maafi maang liya jaae. Jab doosre ka haq shaamil hau tau nira Taubah kaafi nahin hai. Haq ka adaa karna yaa maaf karaana zaroori hai.

Allah Ta’aala tumhari Taubah ko qabool karein, Maghfirat farmaaein, Nusrat aur rahmat tum par utaarein aur apne khaas bandon mein tumhe shumaar karein, Aameen, Thumma Aameen.

Moulana Yusuf Laher


This answer was collected from AskMufti.co.za, which is operated under the supervision of Mufti Siraj Desai of Darul-Uloom Abubakr, South Africa.

Read answers with similar topics: