Home » Hanafi Fiqh » Askimam.org » Zakat on money saved to buy flat

Zakat on money saved to buy flat

Answered as per Hanafi Fiqh by Askimam.org

Assalamo alikum 

Janab main rent k ghar mai rehta hu. Or mera irada hai k agly sal tak inshaAllah apna chota sa flate le lu karachi mai. Jis k lye mere pas wife k zever hai. Or meri kuch saving hai jin ki maliyat 10 lac hai. Kya is raqam par zakat ada karna hogi mujhe. Meri rehnumai farma dein or dua karen ka allah pak mujhe mera apna ghar ata kar dein

Answer

In the Name of Allah, the Most Gracious, the Most Merciful.

As-salāmu ‘alaykum wa-rahmatullāhi wa-barakātuh.

Agar kisi shaks ke paas 87.479 grams sona ya 612.35 grams chandi ho, ya 612.35 chandi ki maaliyat ho, aur ye maal uske hawaaij-e-asliyah [basic needs] se aur usper jo qarz hai usse zaaid ho, to aise shaks ko Sahib-e-Nisab kehte hain. Jab is maal per saal guzar jaye to aise shaks per Zakat ada karna farz hai.

Surat-e-masla mein aap ke paas 10 lakh [one million] hai jo aapki savings hai, agar is per saal guzar gaya ho to aap per iski zakat nikalna farz hai. Yaad rahe har har paise per saal guzarna zaroori nahi.

Isi tarah zever ki zakat bhi nikali jayegi yaani agar zever sone ki shakal mein ho aur who 87.479 grams ke barabar ya use zyadah ho, ya chandi ka ho aur who 612.35 grams ke barabar ya use zyadah ho, ya dono tarah ka zever ho aur dono ki kul maliyaat 612.35 ki maaliyat ke barabar ya zyadah ho to saal guzarne per uski zakat zever ka maalik ada karega.  [1] [2] [3]

Farz Namaaz ba-jamaat ada karein aur Allah se dua karein. InshaAllah kaamyabi naseeb hogi.

Allah aap ko chain-o-sukoon wala, acha aur kushada makaan ata farmaye. Ameen

And Allah Ta’āla Knows Best

Anas Sharieff Qasmi.

Student Darul Iftaa

Hyderabad, India.

Checked and Approved by,
Mufti Ebrahim Desai.

______

[1] Contemporary Fatawa volume 2/177

[2] المحيط البرهاني ٣/١٥٦

الزكاة واجبة في الذهب الفضة مضروبة كانت أو غير مضروبة……….إذا بلغت الفضة مائتي درهم والذهب عشرين مثقالا

[3] الفتاوى السراجية ١٣٧

الزكاة في الفلوس الرائجة كما في دراهمنا اليوم لا تجب  ما لم يكن قيمتها مائتي درهم من الدراهم ……  أو عشرين مثقالا من الذهب

This answer was collected from Askimam.org, which is operated under the supervision of Mufti Ebrahim Desai from South Africa.

Read answers with similar topics: