Home » Hanafi Fiqh » Muftionline.co.za » Kuffaar ke saat dowsti karna

Kuffaar ke saat dowsti karna

Answered as per Hanafi Fiqh by Muftionline.co.za

Q: Kia Christian lowg ko friend bana sakty hn? Agr han to kis had tak friendship ki ja sakti hy? Kia Christian jo achy amal karty he wo jannat me jaein gy?

Bismillaah

A:

1. Kuffaar ke saat dowsti karne se parhez kare. Qur’an Shareef me Allah Ta’ala ne hum ku Kuffaar ke saat dowsti karne se mana’ kya. Un ke saat dowsti karne se Mu’min un ki taraf owr un ki tareeqo ki taraf maail hoga. Allah Ta’ala farmate he:

يـٰأَيُّهَا الَّذينَ ءامَنوا لا تَتَّخِذُوا الكـٰفِرينَ أَولِياءَ مِن دونِ المُؤمِنينَ ﴿النساء: ١٤٤﴾

Ay Imaan waalo, Musalmaano ku chowr kar kaafiro ku apna rafeeq mat banaaow.

يـٰأَيُّهَا الَّذينَ ءامَنوا لا تَتَّخِذُوا اليَهودَ وَالنَّصـٰرىٰ أَولِياءَ بَعضُهُم أَولِياءُ بَعضٍ وَمَن يَتَوَلَّهُم مِنكُم فَإِنَّهُ مِنهُم إِنَّ اللَّـهَ لا يَهدِى القَومَ الظّـٰلِمينَ ﴿المائدة:٥١﴾

Ay Imaan waalo, Yahood owr nasaara ku dowst mat banaaow. Wo aapas me ayk dowsre ke dowst he. Owr jo koi tum me se dowsti kare un se, to wo unhi me se he. Allah Ta’ala zaalim lowgo ku hidaayat nahi karte.

2. Wo lowg jo Allah Ta’ala par Imaan laaye owr Rasulullah (Sallallahu Alayhi Wasallam) ki risaalat par Imaan laaye wo Musalmaan he. Christian Musalmaan nahi he. Un ke paas Imaan nahi he. Jannat sirf Musalmaano ke lia he. Jo ache aa’maal Christian karte he ya dowsre kaafir karte he, Allah Ta’ala unku uska poora ajar dunya hi me denge owr aakhirat me un ke lia kuch nahi hoga.

And Allah Ta’ala (الله تعالى) knows best.

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

This answer was collected from MuftiOnline.co.za, where the questions have been answered by Mufti Zakaria Makada (Hafizahullah), who is currently a senior lecturer in the science of Hadith and Fiqh at Madrasah Ta’leemuddeen, Isipingo Beach, South Africa.

Read answers with similar topics: